poora dukh aur aadhaa chaand
hijr ki shab aur aisa chaand
Poora Dukh aur Aadhaa Chaand - Parveen Shakir |
poora dukh aur aadhaa chaand
hijr ki shab aur aisa chaand
din mein vahshat bahal ga’ee
raat hui aur nikla chaand
kis maqtal se guzra hoga
itna sahma sahma chaand
yaadon ki aabaad galee mein
ghoom rahaa hai tanhaa chaand
meri karvat par jaag utthe
neend ka kitna kachcha chaand
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chaand
itne ghane baadal ke peechhe
kitna tanha hoga chaand
aansoo roke noor nahaa’e
dil dariya tan sahra chaand
itne raushan chehre par bhi
suraj ka hai saaya chaand
jab paani mein chehra dekha
tu ne kis ko socha chaand
bargad ki ik shaakh hataa kar
jaane kis ko jhaanka chaand
baadal ke resham jhoole mein
bhor samay tak soya chaand
raat ke shaane par sar rakkhe
dekh raha hai sapna chaand
sookhe patton ke jhurmut par
shabnam thi ya nanha chaand
haath hila kar rukhsat hoga
us ki surat hijr ka chaand
sahra sahra bhatak raha hai
apne ishq mein sachcha chaand
raat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chaand
Parveen Shakir
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں